Quotes 2

Lafz insan k ghulam hotey hain, magar bolney se pehley , aur bolney k bad insan apney lafzo ka ghulam ban jata hai (Hazrat Ali)

us waqt tak koi faisla mat karo jab tak tumharey dil ki dharkaney aur tumhara daurane khoon tawazun mai na ho
(Hazrat Ali)

Musibat aik hoti hai lekin agar ghabra jao ge to wo dogni ho jaey gi. (Hazrat Ali)

Logo ki Haibat ma aa kar HAQ baat se na rukna, YAD RAKHO! na to koi maut ko qareeb kar sakta hai aur na RIZQ ko door kar sakta hai....(Hazrat Imam Hussain)

Jab tum kisi ko nazar andaz karo aur wo tumhey iska badla wafa se de to JAAN lo k wo tumhey  khud se ziyadah aur sachi mohabbat karta hai.....(Pakiza Jazba)

Jab aurat ghar mai hoti hai aur ghar ka kaam karti haiaur bacho ki tarbiyet karti hai to us waqt wo ALLAH se ziyadah qareeb hoti hai.....(Farman-e-Shehzadi-e-Zehra S.A)






No comments:

Post a Comment